Wednesday, October 9, 2013

Lamha

0 comments
Woh beeta tha to faqat
Lamha aik hi magar

Thehar jata saal ki manind
Woh jo ruk jata agar


21 February 2013

Kashmakash

0 comments
Ab to sahar bus anay hi ko hai
Ab kiran had-e-nigah mein hai
Magar yeh teergi janay kyun ab talak
Meray wajood ki har ja mein hai

1:51 am 10 February 2013

Woh Jo

1 comments
Woh jo mumkin nahi
Usi ki tamanna kyun

Dil nay gar chaha bhi to
La-hasil hi chaha kyun

2:02 am 4 February 2013

Andesha-e-Khamshi

0 comments
Tha andesha-e-khamshi magar,
Na umeed thi itni k dil cheekh uthay.

11:00 pm 18 October 2012

Sochta Raha

0 comments
Sochta raha
bunta raha
khwab
kachay dhagon k

udher gaye sab
na rahay
jin say

thi zindagi

yeh raah ab
kis or chali hai

manzil hi nahi
to safar kaisa

andheron mein
andhiyon mein

sher-o-dasht mein

phir raha hun

koi rokay

koi day

roshni mujhay

Lutf-e-Karam

2 comments
Zarb dar zarb, waar dar waar
Kya kehnay teray lutf-e-karam k

Kuch pass hai wafa ka
Kuch kehtay nahi sharam say

10:32 pm 21st Sep 2012

Raat

0 comments
Woh bohat dair talak
Mujh ko bulati rahi
Manati rahi

Aur mein ik roothay huay bachay ki manind
Humkta, bilakta, ithlata hua gurezan raha

Pal guzartay rahay, dard barhta gaya
Thak k akhir uski naram agosh mein ja so raha.

3:00 am 6th May 2012